Dil Madinah Mera Bana Aaqa Lyrics - Owais Raza Qadri

By: 

Dil Madinah Mera Bana Aaqa Lyrics

Dil madinah mera bana Aaqa (SAW),
Ho mujhe chashm-e-nam ataa Aaqa (SAW).

Ab huzoori ho, dur doori ho,
Phir madinay mujhe bula Aaqa (SAW).

Maut kay baad, bhi suroor aaye,
Aisi ulfat ki mai pila Aaqa (SAW).

Mujh ko Siddiq (Radi Allahu Anhu) ki sadaqat ka,
Koi zara Tu (SAW) kar ataa Aaqa (SAW).

Kash roay Khashiyat-e-Rab say,
Behr-e-Farooq (Radi Allah Anhu) dil mera Aaka (SAW).

Behr-e-Usman (Radi Allah Anhu) ba haya mujh ko,
Dijiye dolat-e-haya Aqa (SAW).

Behr-e-Mola Ali (Alaihis Salaam) mujhe ghalba,
Dushmano per tu kar ataa Aaka (SAW).

Az paye Fatima (Radi Allahu Anha) mujhe apnay,
Ishq mein har ghari rula Aaka (SAW).

Behr-e-Hasnain (Radi Allahu Anhu) day panah mujh ko,
Paikar-e-sabr or riza Aaqa (SAW).

Mujh ko sadqay mein Bu-Hanifa (Radi Allah Anhu) kay,
Aalim-e-baa amal bana Aaqa (SAW).

Waasta tujh ko Ghous-e-Azam (Radi Allah Anhu) ka,
Naik seerat mujhe bana Aaqa (SAW).

Waasta tujh ko Alahazrat (Radi Allah Anho) ka,
Tu mujhe muttaqi bana Aaqa (SAW).

Mere ahlo-ayaal ore mujh say,
Door ho jaye har bala Aaqa (SAW).

Muskura kar Ubaid say keh do,
Tu mera banda mein tera Aaqa (SAW).

Urdu Naat Information:
Sana Khuwaan: Owais Raza Qadri
Kalaam By: Obaid-E-Raza


More Islamic Lyrics

  1. Countless Voices Lyrics - Voices Of Passion
  2. Kaliyan Zulfan Wala Lyrics - Owais Raza Qadri
  3. Turn to Allah Lyrics - Zain Bhikha
  4. Ahmad Ya Habibi Lyrics - Ahmad Hussain
  5. Happiness Lyrics - Sami Yusuf
  6. Zameen Meli Nahi Hoti Lyrics - Farhan Ali Qadri
  7. Huzoor Aisa Koi Intezam Ho Jaye Lyrics - Owais Raza Qadri
  8. You Came To Me (Turkish) Lyrics - Sami Yusuf
  9. Open Your Eyes Lyrics - Maher Zain
  10. Neredesin (Turkish Version) Lyrics - Maher Zain
  11. Freedom Lyrics - Maher Zain
  12. Kankar Se Kalma Parhwao Phir Kehna Hum Jaise The Lyrics - Naat Lyrics
  13. Dil Main Ishq e Nabi Lyrics - Milad Raza Qadri
  14. Allah Hu Lyrics - Aashiq al-Rasul
  15. Aa Dil Mein Tujhe Rakh Loon Lyrics - Owais Raza Qadri
  16. For the Rest of My Life Lyrics - Maher Zain
  17. Gaza Lyrics - Native Deen
  18. A Child’s Prayer Lyrics - Zain Bhikha
  19. Tera Khawan, Main Tere Geet Gawan Lyrics - Owais Raza Qadri
  20. Muhammad (P.B.U.H) Lyrics - Ahmad Hussain
  21. Ben Yürürüm Yane Yane Lyrics - Sami Yusuf
  22. You And I Lyrics - Irfan Makki
  23. La’alla Khair Lyrics - Humood Alkhudher
  24. Dard e Dil Chahiye Chashm e Tar Chahiye Lyrics - Naat Lyrics
  25. Naat by Hazrat Aisha Siddiqa “Umm al-Mu’minin” (R.A.) Lyrics - Old Lyrics

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

6 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
6
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x