Aie Mere Baba Jaan Lyrics - Shahid Baltistani

By: 

Aey Mere baba Jan Lyrics

Us waqt jabkay Zainab darbar main gayi thi,
Qari namaziyoon say mehfil saji huyi thi.

Zalim yeh puchta tha ghazi tera kahan hai?
Baloon say moun chupaye Zainab yeh keh rahi thi…

Aey mere baba jaan, ho rahi hai azaan, sar chupaoon kahan?

Majmaye aam mein, bay watan bay amaan, agaya karvan
Aie meray baba jan, horahi hai azaan, sar chupaun kahan?

Mein bhi hoon marziya, Bint e Khayrun Nisa,
Mere lehjay mein hai, baba teri ada.
Naam Zainab mera, tunay jo rakh diya, day di apni zubaan.

Ay mere baba jaan, horahi hai azan, sir chupaun kahan?

Baba jaan mein rida mangti reh gayi,
Bamo dar saj gaye, jitay ji margayi,
Halqa e Shaam mein, naam sunkar mera, margaya naatawan.

Aiy mere babajaan, horahi hai azaan, sar chhupaun kahan?

Haath kanoon pay hai, kneel gaalon pay hai,
Aur nishan jo Sakina ki shaano pay hai
Har nishan say yehi, aa rahi hai sada, baba jaan baba jaan.

Aie mere baba jan, ho rahi hai azaan, sir chhupaun kahan?

Shaam e ashur say, sham o kufa talak,
Mainay manga nahin hai kharaj e fadak,
Meri chadar say hai, meri maan ka sukoon, sunlay zalim jahaan.

Aie meray baba jan, ho rahi hai azaan, sir chupaoon kahan?

Baba jaan yeh tera akhri tha bayan,
Teri chadar bachayega Ghazi jawaan.
Mar gaya bawafa, chingayi hai rida, kehti hain bibiyan.

Abbas, Abbas, Abbas, Abbas
Abbas, Abbas, Abbas, Abbas…

Ruk na paya meray bawafa ka woh sar,
Noke neza say aanay laga khaak par,
Behan ko darbadar, dekh kar nangay sar, seh na paya jawaa.

Ay mere babajaan, horahi hai azaan, sar chhupaun kaha?

Haath kanoon pe hai, neel gaaloon pe hai,
Aur nishan jo Sakina ke shaano pe hai
Har nishan se yahi, aa rahi hai sada, babajaan babajaan.

Ay mere babajaan, horahi hai azaan, sar chhupaun kahan?

Kal thi maan aaj mein bhi houn darbar me,
Misle Zahra khari houn main aghiyar me,
Us taraf hai shaqi, is taraf rehgayi, bepadar betiyaan.

Aie meray babajaan, horahi hai azan, sir chupaun kahan?

Aisa khutba diya mainay darbar mein,
Likh raha hai jo Yawar tere pyaar main,
Lehjaye hayderi, har azaan ke liye, hai saday e azan.

Ay maray baba jaan, ho rahi hai azaan, sar chhupaun kahan?

Nowha Khawan: Shahid Baltistani
Album Released: 2006
D.O.P: Wajid Ali
Editer: S. D. Soomro
Director: Ali Arman
Label: Thar Production


More Islamic Lyrics

  1. Uthi Nazar To Unke Karam Pe Thaher Gayi Lyrics - Naat Lyrics
  2. Ishq Kee Intiha Syeda Fatima Lyrics - Milad Raza Qadri
  3. Mukh Mor Lenday Penan Tay Para Lyrics - Qari Shahid Mahmood
  4. A Thousand Times Lyrics - Sami Yusuf
  5. Bagh Jannat Kay Hain Lyrics - Milad Raza Qadri
  6. A New Day Lyrics - Labbayk
  7. I Promise Lyrics - Harris J.
  8. Al Ajal Al Ajal Lyrics - Dhamani Sisters
  9. Only Fear Allah Lyrics - Native Deen
  10. Aie Mout Thahar Jaa Lyrics - Owais Raza Qadri
  11. Mamma Lyrics - Irfan Makki
  12. Qabr E Darvaish Lyrics - Shahid Baltistani
  13. Hasbun’ Allah Lyrics - Zain Bhikha
  14. Change our Hearts Lyrics - Abdullah Rolle
  15. Love Will Prevail Lyrics - Maher Zain
  16. Alhubbu Yasood – ???? ???? Lyrics - Maher Zain
  17. Ya Taybah Lyrics - Native Deen
  18. Kya Mahekte Hain Mahekne Wale Lyrics - Naat Lyrics
  19. Hum Hain Iltaja Wale Lyrics - Syed Altaf Shah Kazmi
  20. Allahu Allah Lyrics - Labbayk
  21. Ahmad Raza Ka Taza Gulistan Hai Aaj Bhi Lyrics - Naat Lyrics
  22. Most Merciful Lyrics - Aashiq al-Rasul
  23. All For You Lyrics - Noor
  24. Mera Asghar Kafi Hai Lyrics - Shahid Baltistani
  25. Muslim School Anthem Lyrics - Zain Bhikha

COMMENTS

Subscribe
Notify of

24 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
24
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x