Taiba Ke Jane Wale Lyrics - Owais Raza Qadri

By: 

Taiba Kay Jaane Walay Lyrics

Aie gunbad e khazra kay makeen, Meri madad ker
Ya phir yeh bata, Kon mera teray siwa hai.

Taiba ke jaane wale, Jakar baray aadab say
Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say.
Taiba Ke Jane Wale
Taiba Kay Jaane Walay

Kehna kay shah e aali, eik ranj o gham ka mara
Dono jahan mein iska, hai app hi sahara
Halaat e pur aalam say, har dam guzar raha hai
Aur kanptay labhoon say, faryaad ker raha hai

Baaray gunah apna, hai dosh per uthaye
Koi nahin hai aisa, jo puchanay ko aiye
Bhatka hua musafar manzil ko dhundta hai
Tarikiyoon mein mah e kamil ko dhundta hai

Senay mein hai andhera, dil hai siyah khana x2
Yeh sab meri haqeeqat sarkar ko sunana

Kehna meray Nabi say, mehroom hoon khushi say, sar per eik abray gham hai
Ashkoon say aankh naam hai, pamale zindagi hoon, sarkar ummati houn,
Ummat kay rehnuma ho, kuch arz e hal sunlo, faryaad ker raha houn,
Mein dil figar kab say, mera bhi kisa e gham kehna shahe arab sai.

Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab say
Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say.
Teiba Ke Jane Vale
Taiba Kay Jaane Walay

Kehna kay kha raha houn, mein thokarein jahan mein
Tum hee batao aaqa, jaoon bhala kahan main
Mehsoos ker raha houn, duniya hai aik dhoka
Matlab kay yaar hain sab, koi nahin kisi ka
Kis ko mein apna janoon, kis ka main loun sahara
Mujko to meray aaqa hai aap ka sahara

Tum hi suno gay meri, tum hee karam karo gay
Dono jahan mein tumhi, mera bharam rakho gay.

Tum daad kha e alam, mein eik naseeb e barham
Tum bay kasoun kay wali, main bay nawas wali
Tum aasiyoon ka yaara, mein gardishoon ka mara
Rehmat ho tum sarapa, main murtiqam khata ka
Houn sharam sar apnay, aamal kay sabab say
Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say

Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab say
Mera bhi kisa e gham, kehna shah e arab say.
Taiba Ke Janay Wale
Taiba Ke Janay Wale

Aie aazam e madina, jaa kar Nabi say kehna
Soz e gham e aalam say, aab jal raha hai seena
Kehna kay dil mein lakhoon armaan bharay huay hain
Kehna kay hasratoon kay nashtar chubhay huey hein
Hai arzoo yeh dil ki, mein bhi madinay jayoun
Sultan e dojahan ko, sab dagh e dil dikhoon.

Katoun hazar chakar, taiba ki har gali kay
Youn hee guzar doun mein, aayam zindagi kay.

Phooloon pay jaan nisaroon, katoun pay dil ko waroun
Zaroun ko doun salami, dar ki karoun ghulami
Deewar o dar ko choumoon, qadmoon pay sar ko rakh doon
Mehboob say lipat kar, rota rahoun bara ber
Aalam kay dil mein hai yeh, hasrat najanay kab say
Mera bhi kisa e gham, kehna shah e arab say

Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab say
Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say.
Taiba Ke Janay Wale
Taiba Ke Janay Wale

Urdu Dua Information:

Sana Khawan: Owais Raza Qadri
Copyright Owner: Geo Television Pakistan
Album: Taiba Ko Jane Wale
Release Date: September 2008, 1st Ramzan 1429 Hijri


More Islamic Lyrics

  1. Kivain Mukhre Toon Nazran Hatawan Lyrics - Milad Raza Qadri
  2. Iltija Hai Iltija Lyrics - Aamir Fayyazi
  3. Never Never Lyrics - Sami Yusuf
  4. Tu Shah e Khubaan Tu Jaan e Janaan Lyrics - Milad Raza Qadri
  5. Ya Aba Abdillahil Husayn Lyrics - Voices Of Passion
  6. Kyun Kar Na Mere Dil Mein Ho Lyrics - Owais Raza Qadri
  7. Unki Kiya Baat Hai Lyrics - Waheed Zafar Qasmi
  8. There Is None Greater Lyrics - Abdullah Rolle
  9. Hum Hain Iltaja Wale Lyrics - Syed Altaf Shah Kazmi
  10. Ay Shaam E Gharibaan Lyrics - Mesum Abbas
  11. A New Day Lyrics - Labbayk
  12. Fiyyashiyya Lyrics - Sami Yusuf
  13. Tala Al Badru Alayna Lyrics - Labbayk
  14. The Sound of Tears Lyrics - Nader Khan
  15. Kam Tashtaki Lyrics - Ahmed Bukhatir
  16. Na Ho Aaram Jis Bimar Ko Lyrics - Farhan Ali Qadri
  17. Kamli Wale Deh Darbar Di Gal Lyrics - Hafiz Ahsan Amin
  18. Supplication Lyrics - Sami Yusuf
  19. Dil Madinah Mera Bana Aaqa Lyrics - Owais Raza Qadri
  20. Kaliyan Zulfan Wala Lyrics - Owais Raza Qadri
  21. Special Lyrics - Abdullah Rolle
  22. Madinay Mein Yeh Hotey Hain Lyrics - Farhan Ali Qadri
  23. Aie Rab e Jahan Panjtan e Pak Ka Sadqa Lyrics - Aamir Liaquat
  24. Al-Amin Lyrics - Irfan Makki
  25. Ya Nabi Lyrics - Sami Yusuf

COMMENTS

Subscribe
Notify of

111 Comments
Newest
Oldest Most Voted
111
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x