Chamka Mah e Noor Ka Hilal Lyrics - Owais Raza Qadri

By: 

Chamka Mah-e-Noor Ka Hilal Lyrics

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.

Bay kasun say hai jinhay pyar wohi aaye hain,
Jo do aalam kay hain ghum khaar wohi aaye hain.

Ek nazar asmaan per daal, marhaba,
Chamka mah-e-noor ka hilal, marhaba marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.

Jhanday lagao galiyan sajao,
Karlo charaghan ghar jagmagao,
Razi ho ga Rab-e-Zuljalal (SWT), marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.

Mehfil sajaayein naatein sunaein,
Aaqa ki aamad ki dhoomain machayein,
Roz-o-shab yehi ho apna haal, marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.

Laaraib nabiyon kay saalar aaye,
Aaye do aalam k ghum khaar aaye,
Shahkaar-e-Rab-e-Zuljalal, marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.

Aashiq key dil jagmaganay lagay hain,
Dekho zara muskuranay lagay hain,
Deedni hain unkay khad-o-khaal, marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhab Marhaba

Sadqa wiladat ka jalwa dikha do,
Dil ki lagi ab to aaqa bujha do,
Dikhla do apna ab jamaal, marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.

Jood-o-sakhawat hai aadat tumhari,
Phailaaye daaman kharay hain bhikari,
Kar do karam amna k laal, marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.

Jaam-e-shahadat piya hai jinho ne,
Ahle-sunan ko jila di unho na,
Yaad aayengay wo har saal, marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhab Marhaba

Shaadi kay naghmay sunatay rahengay,
Jashn-e-wiladat manaatay rahengay,
Waar daingay tum pay jaan-o-maal, marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhab Marhaba

Parhnay laga jab Ubaid un ki naatein,
Honay lageen chaar soo us ki baatein,
Faiz-e-Raza ka hai sub kamaal, marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhab Marhaba

Nasheed Information:

Singer: Owais Raza Qadri


More Islamic Lyrics

  1. The Greatest Gift Lyrics - Labbayk
  2. Huzoor Jante Hain Lyrics - Owais Raza Qadri
  3. 99 Names of Muhammad Lyrics - Beautiful Names
  4. My Beloved Lyrics - Ahmad Hussain
  5. Aseer Ahsan Lyrics - Humood Alkhudher
  6. Aaj Aaye Nabiyon Kay Sardar Marhaba Lyrics - Owais Raza Qadri
  7. Long Ago – 610 Lyrics - Khaleel Muhammad
  8. Ban Ke Saa’el Lyrics - Farhan Ali Qadri
  9. Generous Peace (Arabic) Lyrics - Kareem Salama
  10. Masha Allah (Arabic Version) Lyrics - Maher Zain
  11. Falling Lyrics - Ahmad Hussain
  12. Hum Gunahgaaron Ka Aye Rab Ke Rasool Lyrics - Naat Lyrics
  13. Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho Lyrics - Owais Raza Qadri
  14. My People Lyrics - Yusuf Islam
  15. Free Lyrics - Sami Yusuf
  16. Light of the Worlds Lyrics - Aashiq al-Rasul
  17. The Cave of Hira Lyrics - Sami Yusuf
  18. Allahu Lyrics - Sami Yusuf
  19. Noor Wala Aya Hai Lyrics - Farhan Ali Qadri
  20. Madinay Mein Yeh Hotey Hain Lyrics - Farhan Ali Qadri
  21. Ay Kufey Waalo Mein Zainab (A.S) Hoon Lyrics - Irfan Hussain
  22. Salam Alaikum Lyrics - Harris J.
  23. Allahu Allah Lyrics - Labbayk
  24. El-Midan Lyrics - Hamza Namira
  25. Sayadi Sayadi Mustafa Mustafa Lyrics - Hooria Rafiq

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

21 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
21
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x