Ilahi Teri Chokhat Per Bhikari Ban Ker Aya Hoon Lyrics - Junaid Jamshed

By: 

Ilahi Teri Chokhat Per Bhikari Ban Ker Aya Hoon Lyrics


Zahir ki ankh se na tamasha kare koi,
Ho dekhna to deeda-e-dil wah kare koi,
Parh bethay kiya samajh ker bhala toor per kaleem
Takkat ho deed ki to taqaza kare koi

Ilahi teri chokhat per bhikari ban ker aya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,
Bhikari woh ke jis ke paas jholi hai na payala hai,
Bhikari woh jisey hiras-o-hawas nay maar dala hai,
Mata-e-deen-o-danish, nafs ke hathon se lutwa ker.

Sakoon-e-qalb ki daulat hawas ki bhent charha ker,
Lutta ker sari poonji ghaflat-o-issyan ki daldal mein,
Sahara lene aya hoon tere kaabay ke aanchal mein,
Gunahon ki lipatt sey, kaynat-e-qalb afsurda,

Iraaday muzmehehal, himmat shikasta hoslay murda,
Kahan say laoon takat dil ki sachi tarjumani ki,
Ke kis jhanjhal mein guzri hein ghariyan zindagani ki.

Khulasa yeh ke bus jull bhun ker apni roo-sayahi sey,
Sarapa faqr ban ker apni haalat ki tabahi sey,
Tere darbar mein laya hoon apni ab zaboon-haali,
Teri chokhat ke laeq har amal se hath hein khali,
Yeh Tera ghar hai ye Tere mehr ka darbar hai Maula
Sarapa noor hai, ik mohbat-e-anwaar hai Mola.

Teri chokhat ke jo adab hein, main unn se khali hoon,
Nahi jis ko saleeqa manganey ka, woh sawali hoon
Zuban ghalt-e-nadamat dil ki na’kas tarjumani per,
Khudaya reham meri iss zaban-e-ijz-zabani per,
Ye ankhein khushk hein, Ya Rabb inhein rona nahi aata,
Sulagtay daagh hein dil mein jinhein dhona nahi aata.

Ilahi teri chokhat per bhikari ban kay aaya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon.

Lyrics & Video Information:
Artist: Junaid Jamshed
Video Title: Multazim Par
Kalaam By: Mufti Taqi Usmani
Album: Jawa-e-Janaan


More Islamic Lyrics

  1. Rahman Ramazan Lyrics - Aamir Liaquat
  2. Panaah Lyrics - Fez Meghani
  3. Theraawo Sawaari Lyrics - Mesum Abbas
  4. Ibn El-Watan Lyrics - Hamza Namira
  5. Zarre Jhar Ker Teri Pezaron Ke Lyrics - Owais Raza Qadri
  6. Pukara Dilsay Kisi Ney Lyrics - Dhamani Sisters
  7. In Every Tear He Is There Lyrics - Sami Yusuf
  8. Ammu Jannam Lyrics - Fatemah Ladak
  9. Zameen o Zaman Tumhare Liye Lyrics - Khursheed Ahmad
  10. Aur Sham E Gharibaan Lyrics - Shahid Baltistani
  11. Muhammad (Pbuh) Lyrics - Maher Zain
  12. Huzoor Aisa Koi Intezam Ho Jaye Lyrics - Owais Raza Qadri
  13. Afreen Afreen Lyrics - Aashiq al-Rasul
  14. Karam Hai Rab Ka Hamara Naseeb Aala Hai Lyrics - Naat Lyrics
  15. SubhanAllah Lyrics - Maher Zain
  16. Eid-un Sa’Eid Lyrics - Zain Bhikha
  17. Believe Lyrics - Saif Adam
  18. Peace Be Upon You Lyrics - Maher Zain
  19. Dard e Dil Chahiye Chashm e Tar Chahiye Lyrics - Naat Lyrics
  20. Ahmad Ya Habibi Lyrics - Ahmad Hussain
  21. Main Madine Chala Lyrics - Owais Raza Qadri
  22. SubhanAllah Lyrics - Native Deen
  23. Ellahi Lyrics - Zain Bhikha
  24. You Came To Me (Farsi) Lyrics - Sami Yusuf
  25. Rab Janay Tay Hussain Janay Lyrics - Dhamani Sisters

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

342 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
342
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x