Alwida Alwida Mahe Ramzan Lyrics - Syed Fasihuddin Soharwardi

By: 

Alwada Alvida Mahe Ramzan Lyrics

Alvida Alvida Mahe Ramzan
Alwida Alwida Alvida Hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.

Din teray aanay say motbar thay,
Noor mein dubay shaam o sehar they.
Teray janay say dil ro raha hai,
Mah e Ramzan bas alvida hai.

Alwada Alwida Alvada Hai, Mah e Ramazan bass alwida hai.

Sehri iftar qir’at tarawi,
Aur azaan e namazein o tasbeeh.
Yeh saman noori tujh say mila hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.

Alwada Alwida Alvada Hai, Mahe Ramadan bass alwida hai.

Rehmatoon ka tu pegham laya,
barkatoon ka tu inaam laya.
Rutba aala o afzal tera hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.

Alwada Alwida Alvida Hai, Mah e Ramadhan bas alwida hai.

Jaam rehmat kay tunay pilaye,
Gul muradoon kay tuney khilaye.
Tu juda hum say ab ho raha hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.

Alwada Alwida Alvada Hai, Mah e Ramdhan bas alwida hai.

Humko baykal tu paye ga kab tak,
Gar rahe zinda aglay baras tak.
Phir milein gay jo huqmay khuda hai
Mah e Ramzan bas alwada hai.

Alwada Alwida Alvada Hai, Mah e Ramadhaan bass alwida hai.

Chal diya hai tu jo Rab ki janib,
Ahl e Imaan kay purnam hain Qalib.
Qalb e Ishrat bhi gham say bhara hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.

Alwada Alwida Alvida Hai, Mah e Ramazaan bass alwida hai.

Humko bekal tu payega tab tak
Gar rahay zinda agle baras tak.
Phir milengay jo huqm e Khuda hai
Mah e Ramzan bas alwada hai.

Alwada Alwida Alvada Hai, Mah e Ramzan bas alwida hai.

Na’at Lyrics Information:
Naat Khawan: Syed Fasihuddin Soharwardi


More Islamic Lyrics

  1. Ma?aallah (Turkish-Türkçe) Lyrics - Maher Zain
  2. Bahar e Jaan Fiza Tum Ho [Part 2-2] Lyrics - Owais Raza Qadri
  3. Shine Lyrics - Sami Yusuf
  4. Aie Rab e Jahan Panjtan e Pak Ka Sadqa Lyrics - Aamir Liaquat
  5. Jab Aaye Jahan Main Muhammad Lyrics - Akram Aslam Sabri
  6. 99 Names of Allah Lyrics - Beautiful Names
  7. Guantanamo Bay Lyrics - Zain Bhikha
  8. Mere Maula Lyrics - Ahmad Hussain
  9. Bagh Jannat Kay Hain Lyrics - Milad Raza Qadri
  10. Zameen o Zaman Tumhare Liye Lyrics - Khursheed Ahmad
  11. Our Earth Lyrics - Native Deen
  12. Only Fear Allah Lyrics - Native Deen
  13. Hye Hum Yateem Ho Gaye Lyrics - Dhamani Sisters
  14. Insha Allah (Turkish Version – ?n?allah) Lyrics - Maher Zain
  15. Sachi Baat Sikhatay Ye Hain Lyrics - Owais Raza Qadri
  16. Change My Dead Heart Lyrics - Hafiz Mizan
  17. Ya Hayyu Ya Qayyum Lyrics - Sami Yusuf
  18. A’marona A’malona Lyrics - Maher Zain
  19. Ku MilikMu Lyrics - Maher Zain
  20. Main Lajpalan De Lar Lagiyan Lyrics - Farhan Ali Qadri
  21. Your Mercy Lyrics - Raef
  22. Fiyyashiyya Lyrics - Sami Yusuf
  23. Packed at All Lyrics - Native Deen
  24. Muhammad (pbuh) Lyrics - Maher Zain
  25. Khair Karam Wala Lyrics - Hafiz Ahsan Amin

COMMENTS

Subscribe
Notify of

59 Comments
Newest
Oldest Most Voted
59
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x