Ajab Rang Par Hai Bahare Madina Lyrics - Naat Lyrics

By: 

Ajab Rang Par Hai Bahare Madina Lyrics

Ajab Rang Par Hain Bahaar E Madina
Ke Sab Jannatein Hain Nisaar E Madina

Sarkaar Ka Madina Sarkaar Ka Madina
Sarkaar Ka Madina Sarkaar Ka Madina

Khula Hain Sabhi Ke Liye Baab E Rehmat
Wahan Koi Rutbe Mein Adna Na Aali
Muraadon Se Daaman Nahi Koi Khaali
Qitare Lagaye Khade Hai Suwaali

Main Pehle Pehel Jab Madine Gaya Tha
To Thi Dil Ki Haalat Tadap Jaane Wali
Wo Darbaar Sach Much Mere Saamne Tha
Abhi Tak Tasavvur Tha Jiska Khayali

Main Ek Haath Se Dil Sambhale Hue Tha
To Thi Dusre Haath Me Thi Unki Jaali
Dua Ke Liye Haath Uthte To Kaise
Na Ye Haath Khaali Na Wo Haath Khaali

Madina Madina Humara Madina
Hume Jaan O Dil Se Hai Pyara Madina
Suhana Suhana Dilara Madina
Har Aashiq Ki Aankhon Ka Taara Madina

Pahado Pe Bhi Husn, Kaante Bhi Dilkush
Hain Qudrat Ne Kaise Sawaara(n) Madina
Khuda Gar Qayamat Mein Farmaye Maango
Lagayenge Deewane Naara Madina

Rage Ghul Ki Jab Naazuki Dekhta Hu
Mujhe Yaad Aate Hain Khaar E Madina
Mubarak Rahe Andalibo Tumhe Gull
Hume Gull Se Behtar Hain Kahaar E Madina

Rahe Unke Jalwe Base Unke Jalwe
Mera Dil Bane Yaadgaar E Madina
Murad E Dil Bul Bule Be Nawade
Khudaya Dikha De Bahaar E Madina


More Islamic Lyrics

  1. Aaj Ashk Mere Naat Sunain Lyrics - Khursheed Ahmad
  2. I’m Alive Lyrics - Maher Zain
  3. An Nabi Sallu Alai [Part 2-2] Lyrics - Owais Raza Qadri
  4. Hear Your Call Lyrics - Sami Yusuf
  5. Give Thanks To Allah Lyrics - Zain Bhikha
  6. Wah Kiya Joodo Karam Lyrics - Syed Ikram Akbar Bukhari
  7. Sarkar e Dono Aalam Nazar e Karam Ho Jaana Lyrics - Naat Lyrics
  8. Radhitu Billahi Rabba Lyrics - Maher Zain
  9. As Subhu Bada Min Lyrics - Waheed Zafar Qasmi
  10. Mujh Pey Be Chashme Karam Lyrics - Syed Ikram Akbar Bukhari
  11. Where is my Warrior? Lyrics - Voices Of Passion
  12. Cadence Lyrics - Sami Yusuf
  13. Kam Tashtaki Lyrics - Ahmed Bukhatir
  14. Jab Aaye Jahan Main Muhammad Lyrics - Akram Aslam Sabri
  15. Ya Habibi, Ya Hussain (AS) Lyrics - Mesum Abbas
  16. Most Merciful Lyrics - Aashiq al-Rasul
  17. Lamyaati Nazeero Kafi Nazarin Lyrics - Syed Fasihuddin Soharwardi
  18. Prism Lyrics - Sami Yusuf
  19. For the Rest of My Life Lyrics - Maher Zain
  20. Ya Hanah Lyrics - Hamza Namira
  21. Inna Fil Jannati Lyrics - Sami Yusuf
  22. Aie Mout Thahar Jaa Lyrics - Owais Raza Qadri
  23. You Came To Me (Arabic) Lyrics - Sami Yusuf
  24. Children Of War Lyrics - Abdullah Rolle
  25. Ahad – The Story of Bilal Lyrics - Native Deen

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

5 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
5
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x