Hum Gunahgaaron Ka Aye Rab Ke Rasool Lyrics - Naat Lyrics

By: 

Hum Gunahgaaron Ka Aye Rab Ke Rasool Lyrics


Hum gunahgaaron ka aye rab ke rasool
Sar e mehshar zara bharam rakhna
Kuch nahi hai sivaye jurm o gunaah
Apni ummat pe tum karam rakhna

Umr saari ganwai khelon me
Nahi sambhley jadey jhamelon me
Ab jo honsh aaya hai to kuch bhi nahi
Paas apne zara sharam rakhna

Sham’aa teri ne sambhala humein
Jab bhi bhatkey andheri raaton me
Vaastaa tujh ko teri rehmat ka
Ye karam hum pe har qadam rakhna

Naik aamal mere paas nahi
Ek naa hai ke tere paas nahi
Khul na jaye vahan ye raaz kahin
Sarey mehshar isey dafan rakhna

Jab chalun duniya se aye mere nabi
Hai dua ho jhuki ye meri jabeen
Or na maila ho qalb ye mera
Paak har daag se kafan rakhna

Tauba karta hai har gunahon se
Tera ‘ Mehboob ‘ tera shaidai
Ik nazar ho karam ki shah e umam
Ta-umar mujh pe ye karam rakhna

Submitted by: Mehboob Makrani


More Islamic Lyrics

  1. Qasidah Burdah Lyrics - Labbayk
  2. Who I Am Lyrics - Zain Bhikha
  3. Sarkar Kay Dar Per Jaaoon Lyrics - Owais Raza Qadri
  4. My Lord Lyrics - Native Deen
  5. Muhammad (pbuh) Lyrics - Maher Zain
  6. Shah e Madinah Mujh Ko Taibah Bula Liye Hain Lyrics - Naat Lyrics
  7. Generous Peace (Arabic) Lyrics - Kareem Salama
  8. As Subhu Badaa Lyrics - Aashiq al-Rasul
  9. Ask Him Lyrics - Labbayk
  10. Ya Mustafa Lyrics - Adam Ali
  11. [Rabbee] I’m Yours Lyrics - Raef
  12. Allahu Lyrics - Labbayk
  13. Shafa’a – ????? Lyrics - Jabar Abdollah
  14. Give Thanks To Allah Lyrics - Zain Bhikha
  15. Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar Lyrics - Waheed Zafar Qasmi
  16. Ze Eshqat Lyrics - Sami Yusuf
  17. Jab Gumbad e Khazra Pe Woh Lyrics - Owais Raza Qadri
  18. I Promise Lyrics - Harris J.
  19. True Love Lyrics - Maher Zain
  20. Allahumma Salli ‘ala Muhammed Lyrics - Aashiq al-Rasul
  21. Firaq E Madinah Mein Dil Ghamzada Hai Lyrics - Owais Raza Qadri
  22. Subha Taiba Mein Hui Lyrics - Owais Raza Qadri
  23. Change My Dead Heart Lyrics - Hafiz Mizan
  24. Ala Bi Dhikrika Lyrics - Sami Yusuf
  25. Follow Muhammad Lyrics - Khaleel Muhammad

COMMENTS

Subscribe
Notify of

0 Comments
Newest
Oldest Most Voted
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x