Zindagi Ka Bharosa Nahin Lyrics - Shadman Raza

By: 

Zindagi Ka Bharosa Nahin Lyrics

Zindagi ka bharosa nahin, Zikr e Haider kiya kijiye
Akbat bhi sanwar jaye gi, yeh fariza aada kijiye.

Lakh sajde kiye jaye, phir bhi bakhsish na ho paye gi
Yeh Muhammad ka farman hai, in kay ghar say wafa kijiye.

Mar bhi jayein to martay nahin, hum to kasrat say darte nahin
Kufr hai agar wilaye Ali, hum ko kafir kaha kijiye.

Dar pay aa ker yeh Shabir kay, aik rahib nay ki iltaja
Main sawali houn Shah e Zaman, mujko baitay aata kijiye.

Bughz e Haider hai bugz e Nabi, yeh najasat hai sab say bari
Jo Ali say adawat rakhay, dur us say raha kijiye.

Do fariqain main aik hi, haq pay hota hai aie dosto
Koun Jang e Jamal main magar, haq pay tha faisla kijiye.

Ya Ali mukhtar hain, anbiya ke madad gar hain
Jitnay momin hain uqda kusha, unki hajat rawan kijiye.

Aal e Ahmed kay zakir muhib, zikr ghairoon ka kertay nahin
App shayer hain Imran ke, maqabat he likha kijiye.

Zindagi ka bharosa nahin, Zikr e Haider kiya kijiye
Aaqbat bhi sanwar jaye gi, yeh fariza aada kijiye.


More Islamic Lyrics

  1. Ya Syedi Ya Mustafa Lyrics - Syeda Amber Saleem
  2. Happiness Lyrics - Sami Yusuf
  3. Never Never Lyrics - Sami Yusuf
  4. Edhak Lyrics - Humood Alkhudher
  5. Medina Lyrics - Maher Zain
  6. Oh Lord Lyrics - Abdullah Rolle
  7. Allah Ke Huzoor Mein Sar Ko Jhuka Ke Dekh Lyrics - Naat Lyrics
  8. Zahe Muqaddar Lyrics - Waheed Zafar Qasmi
  9. Departure Lyrics - Gaith Adhami
  10. Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Ghum Baishumar Lyrics - Owais Raza Qadri
  11. Proclaim The Oneness Of Allah Lyrics - Hafiz Mizan
  12. Salam Alaikum Lyrics - Harris J.
  13. Heal the World Lyrics - Zain Bhikha
  14. Try Not to Cry Lyrics - Sami Yusuf
  15. Barakah Lyrics - Sami Yusuf
  16. Aye Naseeb Mere Naseeb Tu Lyrics - Naat Lyrics
  17. All I Need Lyrics - Sami Yusuf
  18. Healed Lyrics - Gaith Adhami
  19. Let Me Breathe Lyrics - Harris J.
  20. Na Ho Aaram Jis Bimar Ko Lyrics - Farhan Ali Qadri
  21. Ya Rasoolallah Pukaro Ya Rasoolallah Lyrics - Milad Raza Qadri
  22. Taiba Ke Jane Wale Lyrics - Owais Raza Qadri
  23. True Love Lyrics - Maher Zain
  24. Your Beauty Lyrics - Tom Robertson
  25. Firaq E Madinah Mein Dil Ghamzada Hai Lyrics - Owais Raza Qadri

COMMENTS

Subscribe
Notify of

34 Comments
Newest
Oldest Most Voted
34
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x