Allah Ke Huzoor Mein Sar Ko Jhuka Ke Dekh Lyrics - Naat Lyrics

By: 

Allah Ke Huzoor Mein Sar Ko Jhuka Ke Dekh Lyrics

Allah ke Huzoor me sar ko jhukaa ke dekh
Allah ke huzoor mein sar ko jhuka ke dekh
Milta hai kiya namaz mein, sajde mein ja ke dekh
Milta hai kiya namaz mein, sajday mein ja ke dekh

Woh kushnaseeb hai, jise manzoor hai namaz x2
Momin ki paak rooh ka ik noor hai namaz
Shaitan ki bohat say bohat door hai namaz
Dil ko Khuda ki yaad ka maskan bana kay dekh
Milta hai kiya namaz mein, sajde mein ja ke dekh x2

Barkat hazar saath hai lati hai yeh namaz x2
Jalwa Khuda ka saath dekhati hai yeh namaz
Bande ko apne Rab say milati hai yeh namaz
Milna hai agar Khuda say, musalah bicha ke dekh
Milta hai kiya namaz mein, sajde mein ja ke dekh x2

Munkir Nakeer qabr mein poochein gay jab hisaab x2
Day gi namaz khud hi namazi ka sab jawab
Mitt jaye ga namaz say sab qabr ka azab
Uss Rab ul Alameen say toh loh laga ke dekh
Milta hai kiya namaz main, sajda main ja ke dekh x2

Uss Rab e Zuljalal ki marzi namaz hai x2
Bakhshish ki aur najat ki sirhi namaz hai
Darwaza e Bahisht ki kunji namaz hai
Sab kuch mile ga khud ko namazi bana ke dekh
Milta hai kiya namaz mein, sajde mein ja ke dekh x2

Woh Rab ul Alameen hai, Mukhtar hai wohi
Rehman hai, Raheem hai, Ghafar hai wohi
Beshak teri namaz ka haqdar hai wohi
Naraz ho na jaye, ooh bande Khuda ke dekh
Milta hai kiya namaz mein, sajde mein ja ke dekh x2

Allah ke Huzoor sar ko jhuka ke dekh x2
Milta hai kiya namaz mein, sajde mein ja ke dekh


More Islamic Lyrics

  1. Dard e Dil Chahiye Chashm e Tar Chahiye Lyrics - Naat Lyrics
  2. In Every Tear He Is There Lyrics - Sami Yusuf
  3. Masha Allah (Arabic Version) Lyrics - Maher Zain
  4. Ashqi Mn – ?????? ?? Lyrics - Jabar Abdollah
  5. Ya Ali Ya Hussain Lyrics - Nadeem Sarwar
  6. Morning Musk Lyrics - Gaith Adhami
  7. Jaaneh Jaanaan Lyrics - Sami Yusuf
  8. Always Be There (French) Lyrics - Maher Zain
  9. Dragged from Karbala Lyrics - Voices Of Passion
  10. Tala Al Badru Alayna Lyrics - Labbayk
  11. Mere Ghazi Kahaan Ho Lyrics - Shahid Baltistani
  12. Pearl Lyrics - Sami Yusuf
  13. Isn’t It So Funny Lyrics - Labbayk
  14. Never Never Lyrics - Sami Yusuf
  15. Ghar Lut Gaya Lyrics - Mesum Abbas
  16. Rab Farmaya Mahbooba Lyrics - Milad Raza Qadri
  17. My Hero Lyrics - Harris J.
  18. Naseeba Khol Dae Mera Lyrics - Farhan Ali Qadri
  19. My Little Girl Lyrics - Maher Zain
  20. Jannah Lyrics - Maher Zain
  21. Sign Language Lyrics - Gaith Adhami
  22. Aa Gaye Aa Gaye Mustafa Aa Gaye Lyrics - Farhan Ali Qadri
  23. Jeena Hain Mushkil Lyrics - Ahmad Hussain
  24. Shah e Madinah Mujh Ko Taibah Bula Liye Hain Lyrics - Naat Lyrics
  25. Rasool’Allah Lyrics - Harris J.

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

15 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
15
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x