Rab Ne Diya Hay Unko Lyrics - Farhan Ali Qadri

By: 

Rab Nain Diya Hai Unko Lyrics

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Yih khawaab main nay deka, taiba ka kaafila hai
Aur naat parte parte main uss main jaa raha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Farzaangi ki hadd tak, diwaana ho gaya hoon
Main unki naat keh kar, masti main jhoomta hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Deykho mera tassw’wur, rouzey key saamney hoon
Dil naat par raha hai, main chup kharaa hua hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Nazr-e-karam huee jab, aqa ney jub bulaya
Uss dam yehi kahoon ga, aqa main aaraha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Apney ghulaam ka wo, mujh ko ghulaam rakh ley
Main chup kharaa hua hoon, aur mahv-e iltija hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Jannat khuda na deyga, jab tak na wo kahey gey
Rub kee raza hain aaqa, main itna jaanta hoon
Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey hai meri nisbat, ab aur chahiyeh kiya
Merey wuhi hain sub kuch, main un ka ho chukka hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey miley hain saarey, alfaaz merey kab hain
Main un sey naat leykar, duniya mey baant’ta hoon

Mar jaon Abidi jub main naat parte parte
Tum sab yakin karna imaan par mara hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon.

Naat Information:

Naat Sharif Reciter: Farhan Ali Qadri
Album: Aa Gaye Sarkar
Producer: Muhammad Ali Qadri
Release: M.F. Stereo


More Islamic Lyrics

  1. Maqsad e Aalam e Hayaat e Nabi Lyrics - Naat Lyrics
  2. No One Knows But Me Lyrics - Raef
  3. The Way of Love Lyrics - Maher Zain
  4. Al Ajal Al Ajal Lyrics - Dhamani Sisters
  5. Ho Karam Sadqey Mein Is Raat Ke Aye Rab e Azeem Lyrics - Naat Lyrics
  6. A Thousand Times Lyrics - Sami Yusuf
  7. Allah Tera Shukar Hai Lyrics - Abdul Hameed Rana Soharwardi
  8. Hear Your Call Lyrics - Sami Yusuf
  9. Khuloos Ki Roshnai Lay Ker Lyrics - Wazir Syed
  10. Silent Words Lyrics - Sami Yusuf
  11. Syed Nay Karbala Main Waday Nibha Diye Hain Lyrics - Abdul Rauf Rufi
  12. ‘Araftul Hawa Lyrics - Sami Yusuf
  13. Allahu Lyrics - Irfan Makki
  14. Kun Anta Lyrics - Humood Alkhudher
  15. Faslon Ko Takalluf Lyrics - Nader Khan
  16. Aaqa Meriyan Akhiyan Madine Wich Reh Giyan Lyrics - Shahbaz Qamar Fareedi
  17. Children Of War Lyrics - Abdullah Rolle
  18. Ahl Al Bayt Lyrics - Nader Khan
  19. Allah Ya Moulana Lyrics - Maher Zain
  20. The Quest Lyrics - Nader Khan
  21. Special Lyrics - Abdullah Rolle
  22. Open Your Eyes Lyrics - Maher Zain
  23. Sepanjang Hidup Lyrics - Maher Zain
  24. O’ My Lord Lyrics - Labbayk
  25. The Mountain Lyrics - Tom Robertson

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

43 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
43
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x